Best Wazifa After Fajr Namaz in Urdu

Best Wazifa After Fajr Namaz in Urdu

Fajar ki namaz k baad yai 3 Izkar lazmi krain. Is zikar (amal) ki brkat sae Allah pak aap ki tamam hajat ko apnay khzana-e-gaib sae pora frma dae ga. Hajat ya khwahish koi b ho os ka taswar aap nae zehan mai rakh kr is amal ko pukhta yakeen sae kr laina haye.

سُبْحَانَ اللہ وَ بِحَمْدِهٖ سُبْحَانَ اللہ الْعَظِيمِ

Aik Tasbih rozana fajar ki namaz k baad. Yani 100 martba aap nae “Subhan Allah Hi Wabi Hamdihi Subhan Allahil Azeem“. Aap nae prhna haye.

اَسْتَغْفِرُاللّٰہَ الَّذِیْ لَآ اِلٰہَ اِلَّا ھُوَ الْحَیُّ الْقَیُّوْمُ وَاَتُوْبُ اِلَیْہِ

Dou tasbih rozana namaz e fajar k baad kr lain. Yani 200 martba aap nae “Astaghfir ullah-alladhi la ilaha illa Huwal-Haiyul-Qayyumu, wa atubu ilaihi”. Aap nae par laina haye.

اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلٰی (سَیّدِنَا) مُحَمَّدِ نِ النَّبِیِّ الْاُمِّیِّ وَعَلٰٓی اٰلِہٖ وَسَلِّمْ تَسْلِیْمَا

Teen tasbih rozana fajar ki namaz k baad parh liya krain. Yani 300 martba aap nae “Allahumma salli alaa muhammadinin nabiyyil ummiyyi wa-ala aalihi wasallim tasleema”. Aap nae prh laina haye.

In 3no tasbihat k krany k baad aap nae. Allah k hazoor suchay dill sae dua krni apni os muskil ya hajat k liya. Jis ka samna aap ko krna par raha hae.

Allah pak aap k liya or hum sb k liya asniyan paida frmay. Ameen

Scroll to Top