99 Asma e Husna Aur Un Kay Fazaail – اسماء اللہ الحسنیٰ

Har wird kay Awwal-o-Aakhir mai aik baar Durood Shareef lazmi parh lijiye, faidah zaahir na honay ki soorat may shikwah karnay ki bajaey apni galtiyon kotahiyon pr gour krain aur Allah Pak ki hikmat par nazar rakhain. Is umeed sae k humara Rab har cheez pr qadir haye. Wo jo din ko raat aur raat ko din mai badal sakta haye. Tou yakinan wo humara nasib bhi badal sakta haye.

Ya Allahu (یَا اللہُ)

Jo shakhas har namaz kae ba’d 100 baar parhay Insha Allah us ka baatin kushadah ho jaey ga.

 Huwallahu Rahim (هُوَاللهُ الرَّحِيْم)

Jo shakhas har namaz kay ba’d 7 baar parh liya karay ga Insha Allah Shaitan kay shar say bacha rahay ga aur us ko Iman par khatimah nasib hoga.

Ya Quddusu (يَاقُدّوْسُ)

Jo shakhas is ism mubarak ko dauran-e-safar wird karta rahay Insha Allah thakan say mahfooz rahay ga.

Ya Rahmanu (يَارَحْمَنُ)

Jo shakhas subh ki namaz kay ba’d 298 baar is ism mubarak ko parhay ga Rab Karim us par bahut rahm karay ga.

Ya Rahimu (يَا الرَّحِيْمُ)

Jo shakhas har rooz 500 baar is ism mubarak ko parhay ga Insha Allah bohat zyada daulat paey ga aur makhlooq-e-Khuda us par meharban aur shafeeq hogi.

Ya Maliku (یَامَلِکُ)

90 baar ghareeb-o-nadaar shakhas rozanah parha karay ga to Insha Allah ghurbat say najat paey ga.

 Ya Salamo (یَاسَلَامُ)

111 baar parh kar mariz par dam karnay say Insha Allah mariz ko shifa haasil hogi.

 Ya Momino (يَامُوْمِنُ)

Jo shakhas 115 baar parh kar apnay opar dam karay ga Insha Allah ba fazle Khuda har aafat-o-bala say mahfooz rahay ga.

Ya Muhaiminu (يَامُهَيْمِنُ)

29 baar rozanah perhnay wala shakhas Insha Allah har trha ki aafat-obala say mahfooz rahay ga.

Ya Azizu (يَاعَزِيْزُ)

41 baar haakim ya afsar wagaira kae pas janay sae pehlay ya ism mubarak parh lijiye to Insha Allah woh haakim ya afsar meharban ho jaey ga.

Ya Jabbaru (یَاجَبَّارُ)

Jo shakhas is ism mubarak ka musalsal wird rakhay ga apni gheebat say Insha Allah bacha rahay ga.

Ya Mutakabbir (يَامُتَكَبِّرُ)

21 baar rozanah is isam mubarak ko parh lijiye, darawnay khuwab aatay hon gay to khuwab may nahin daray gay.

Ya Khaliqu (یَاخَالِقُ)

Jo shakhas 300 baar parhay us ka dushman maghloob ho jaey ga.

Ya Bario (یَا بَارِیٌ)

10 baar jo koi har Jumma ko ya ism parh liya karay us ko beta naseeb hoga.

Ya Musawiro (يَامُصَوِّرُ)

Jo baanjh ‘aurat 7 rozay rakhay aur iftar kay waqt 21 baar ya ism yani “Ya Musawiro” parh kar paani par dam kar kay pee liya karay, Allah Kareem us ko naik beta ata karay ga.

Ya Ghaffaru (ياغفار)

Jo koi is ism ko hamayshah parha karay ga nafs ki buri khuwahishaat say bacha rahay ga.

Ya Qahharu (یاقھار)

Agar koi museebat aa paray to is ism mubarak ko 100 bar parhiye, mushkil aasan hogi.

Ya Wahabo (ياوهاب)

7 baar jo rozanah parha karay ga Mustajabud-Da’waat hoga. (ya’ni os ki har Du’a Qabool hogi.)

Ya Razaqu (يارازاق)

Jo koi Fajr kay Farz-o-Sunnat kay darmiyan 41 din tak 550 baar “Ya Razaqu” parhay ga daulatmand hoga.

Ya Fattahu (يافتاح)

70 baar agar koi rozanah ba’d Namaz-e-Fajr donon haath seenay par rakh kar parha karay ga us kay dil ka zang-o-mayl dor ho jae ga.

Ya Alimu (ياعليم)

Jo koi is Ism (Ya Alimu) ko bahut parhay ga Allah Pak us ko Deen-o-Dunya ki ma’rifat nasib ‘ata farmaey ga.

Ya Qabizo (ياقابض)

Jo Koi 30 baar roozana parha karay ga woh dushman par fath paey ga.

Ya Basito (ياباسط)

Jo koi 40 baar parhay ga Khalq say bay parwah hoga.

Ya Khafizu (ياخافض)

Jo koi “Ya Khafizu” 500 baar parh lay Insha Allah, dushman say amaan may rahay ga.

Ya Rafiu (يارافع)

20 baar jo rozanah parha karay ga us ki hr jaiz murad poori hogi.

Ya Muizzu (يامعز)

Jo koi isay ba’d Namaz-e-‘Isha Shab-e-Jumma 140 baar parhay, makhlooq ki nazar may us ki ‘izzat-o-hurmat aur haybat barhay gi.

Ya Hakamu (ياحكم)

Jo paanchon waqt har namaz kay ba’d 80 baar Ya Hakamu parh liya karay kisi ka mohtaj na hoga.

Ya Baseeru (يابصير)

7 baar jo koi rozanah ba-waqt-e- ‘asr (ya’ni ibtida-ewaqt-e- ‘asr ta ghuroob-e-aaftab kisi bhi waqt) “Ya Baseeru” parh liya karay ga achanak maut say mahfooz rahay ga.

Ya Samio (ياسميع)

Jo koi rozanah 100 baar parhay aur is dauran ghuftugu na karay aur parh kar dua maangay. Phir wo jo maangay ga paey ga.

Ya Muzillu (يامزل)

Agar koi 75 baar is ism koparh kar sajdah karay aur kahay: Ya Ilahi!Fulan Zaalim kay shar say mujhay mahfooz rakh, to Insha Allah, Allah Pak usay amaan day ga aur apni hifazat may rakhay ga.

Ya Adlu (ياعدل)

Jo koi Maghrib ki namaz kay ba’d 1000 baar “Ya Adlu” parhay ga aasmani balaaon say najat paey ga.

Ya Latifu (يالطيف)

Baytiyon kay naseeb khulnay aur amraaz say sehhat aur mushkilaat say najat kay liye har roz Tahiyyat-ulWuzu kay ba’d 100 baar parh liya karay.

Ya Khabeeru (یاخبیر)

Jo koi Nafs-e-Ammarah kay haath giriftar ho to wo har roz “Ya Khabeeru” ka Wazifah kar liya karay najat paey ga.

Ya Haleemu (یاحلیم)

Jo koi is ko kaghaz par likh kar bottle mai daal kr apni khayti par chhirak day to zara’at har aafat say hifazat may rahay gi.

Ya Azeemu (یاعظیم)

Jis k payt mai dard ho wo 7 daf’a paani par parh kar dam kar kay paani pee lay us kay payt ki dard ruk jae gi.

Ya Ghafoor (یاغفور)

Jis ko dard-e-sar ya koi beemari ya gham paysh aa jaey wo 3 baar “Ya Ghafoor” likh kar (ya’ni is Ism-e-Pak ko kaghaz par likh kar is ki gili siyahi par roti ka tukra laga kr woh Naqsh roti may jazb kar lay aur) kha lay, shifa paey ga.

Ya Shakuro (یاشکور)

Jo koi 5000 baar roozana ya ism parha karay ga qiyamat kay din buland martabah hoga.

Ya Aliyu (یاعلی)

Is ism ko warm (ya’ni soojan) par 3 baar parh kar dam karay sehhat paey ga.

Ya Kabiru (یاکبیر)

Is ism ko 9 daf’ah kisi beemar par parh kar dam karay sehhatyab ho jaey ga.

Ya Hafizu (یاحفیظ)

Jo 16 baar har roz parhay tara ki afat sae mehfooz rahay ga.

Ya Muqeetu (یامقیت)

Jis ki aankh surkh ho aur dard kar rahi ho os ko 10 baar “Ya Muqeetu” parh kar dam kar dai.

Ya Haseebo (یاحسیب)

Jo koi har rooz 70 baar “Ya Haseebo” parhay ga har aafat say mahfooz rahay ga.

Ya Jaleelu (یاجلیل)

Ya Ism 10 baar parh kar jo apnay maal-o-asbab aur raqam waghayrah par dam kar day chori say mahfooz rahay ga.

Ya Kareemo (یاکریم)

Agar bistar may laitay waqat is ism ko parhtay parhtay so jaey to Firishtay us kay liye sari raat du’a karayn gay.

Ya Raqeebo (یارقیب)

Is ism ko phoray phinsi par 3 baar parh kar phoonk day ga to insha Allah shifa haasil hogi.

Ya Mujeebu (یا مجیب)

Ya ism jis pr 3 baar parh kar dam karay ga os ka dard-esar door hoga.

Ya Wasiu (یا واسع)

Jis ko bichchu kaat lay woh 70 baar is ism ko parh kar dam karay zahr asar na karay ga.

Ya Hakimu (یاحکیم)

80 baar jo rozanah paanchon namazon kay ba’d parh liya karay kbhi kisi ka mohtaj na ho ga.

Ya Wadoodo (یاودودو)

Is Ism ko 1000 baar khanay par parh kar jis janib say na-muwafiqat ho usay khila day dushmani khatm ho jaey gi.

Ya Majeedo (یامجید)

Jo garmiyon may isay parhay ga piyas ki shidat sai mahfooz rahay ga.

Ya Baiso (یا باعث)

Jo koi 7 baar “Ya Baiso” parh kar apnay opar phoonkay aur haakim kay ru ba ru jaey Haakim Maharban ho jae ga.

Ya Shaheedo (یا شہید)

21 baar subh (tuloo’-e-aaftab say pehlay pehlay) nafarman bachay ya bachi ki payshani par haath rakh kar aasman ki taraf munh kar kay jo parhay us ka woh bacha ya bachi nayk ho jae ga.

Ya Haqqu (یاحق)

Agar ghulam aadhi raat ko nangay sar 108 baar parhay ga ghulami say rihaey paey ga.

Ya Wakeelo (یا وکیل)

7 baar jo koi rozanah ‘Asr kay waqt parh liya karay ga haar tarha ki aafat say panah paey.

Ya Qawiyyu (یا قوی)

Agar Jumma ki dusri saa’at may kasrat sae is isam ka wird kry ga Nisyan (ya’ni bhoolnay ka maraz) jata rahay ga.

Ya Mateeno (یا متین)

Jis bachay ka doodh chhura diya gaya ho usay kaghaz par likh kar pila dayn, taskeen hogi. Is k ilawa agar maa ka doodh kam ho to isi Ism-e-Pak ko likh kar pila dayn doodh ziyadah ana shoro ho jae ga.

Ya Waliyu (یا ولی)

Jo koi is Ism ko kasrat sae parhay ga us ki biwi us ki farmanbardar ho jaey gi.

Ya Hamidu (یا حمید)

jis ki gandi baaton ki ‘aadat na jati ho woh 90 baar iss ism ko parh kar kisi khali piyalay ya glass may dam kar day. Hasbe-Zaroorat usi may paani piya karay fuhush goi ki ‘aadat nikal jaey gi.

Ya Muhyi (یا محیی)

Gas ho ya payt k kisi bhi jagah dard ho. Ya kisi ‘uzw kay zaya’ ho janay ka khauf ho to is ism ko 7 baar parh kar apnay opar dam kar lijiye faidah hoga.

Ya Mumeetu (یا ممیت)

7 baar rozanah parh kar khod par dam kar liya karay. Kabhi zindgi mai jadu asar nahin karay ga.

Ya Hayyu (یا حی)

Jo koi bimar ho is Ism ko 1000 baar parhay jld sehhat paey ga.

Ya Qayyum (یا قیوم)

Subh kay waqt jo koi is ism mubarak ko kasrat say parhay ga is ka tasarruf dilon may zaahir hoga ya’ni log us ko pasand kry gae.

Ya Wajido (یا واجد)

Agar koi khana khatay waqt har niwalah par is ism ko parha karay ga. Woh khana us kay payt may noor hoga aur beemari os sae door hogi.

Ya Majidu (یا ماجد)

10 baar parh kar pani par dam kar kay pee liya jae to wo shakhas beemar na hoga.

Ya Wahido (یا واحد)

Jis ko akayalay may dar lagta ho wo tanhai mai 1001 bar is ism ko parh lay. Us kay dil say khauf jata rahay ga.

Ya Ahadu (یا احد)

Jo koi tanha is ism ko 1000 baar parhay ga nayk ban jaey ga.

Ya Samadu (یا صمد)

Jo is ism ko 1000 baar parhay ga dushman par fatah paey ga.

Ya Qadiru (یا قادر)

Jo wuzu kay dauran perhnay ka ma’mool bana lay dushman k shar sae mehfooz rahay ga.

Ya Muqtairu (یا مقتدر)

20 baar jo koi rozanah parh liya karay ga rahmaton kay saey may rahay ga.

Ya Muqaddimu (یا مقدم)

Khauf ki jagah par bay chayni ki haalat may is Ism-e-Mubarak ki kasrat sae khoof jata rahay ga.

Ya Muakhiru (یا موخر)

Is ism ko 100 baar rozana perhnay walay kay sab kaam pooray hon gay.

Ya Awalo (یا اول)

100 baar rozanah parhnay sae miya biwi k doran muhabbat bhray gi.

Ya Akhiru (یا آخر)

Har Jagha izat panay k liya is ism ko kasrat sae prhay.

Ya Zahiro (یا ظاھر )

Ghar ki deewar par is ism ko likh lijiye dar-o-deewar salamat rahay gi.

Ya Batinu (یا باطن)

Maal mai khyanat sae bachnay k liya is isam ko apnay maal pr parh kr daam kr dain.

Ya Waliyu (یا والی )

Jo koi koray piyalay par likh kar us may paani bhar kar ghar kay dar-o-deewar par dalay to woh ghar aafaton say mahfooz rahay ga.

Ya Mutaali (یا متعالی)

Mushkil tareen kaamon ki asani kay liye is ki kasrat bay had mufeed hay.

Ya Barro (یا بر)

Jo koi 7 martaba parh kar bachon par dam kar kay Allah Pak ki sipurdagi may dai dai Baaligh honay tak woh bacha Aal blaon say mahfooz rahay ga.

Ya Tawwabu (یا تواب)

Jo koi chasht ki namaz kae ba’d 360 baar is ism ko parhay ga Allah Kareem us ko Tauba-tun-Nusooh (ya’ni sachi taubah) naseeb farmaey ga.

Ya Muntaqimu (یا منتقیم)

Dushman ko dost bananay k liye 3 Jumma tak is ko kasrat say parhiye.

Ya Afuw (یا عفو)

Jis kay gunah bahut hon woh is Ism-e-mubarak ki kasrat karay Allah Pak apnay fazal sae us kay tamam gunah bakhsh day ga.

Ya Raufu (یا روف)

Jo kisi mazloom ka kisi zalim say peecha chhurana chaahay. Wo 10 baar parhay phir us zalim say baat karay woh zalim us ki sifarish Qabool kar lay ga.

Ya Malikul Mulk (یا مالک الملک)

Jo is ism ki kasrat karay ga khush haal ho jae ga.

Ya Zul Jalali Wal Ikram (یا ذالجلال والاکرام)

Is ism ka kasrat say wird krny walay ko khushhaali naseeb hogi aur is kay sath du’a karnay say du’a maqbool hogi.

Ya Muksitu (یا مقسط)

Shaytani waswason say bachnay kay liye 100 martabah parhna bahut mufeed hay.

Ya Jamiu (یا جامع)

Rishtay daro mai acha salok rakhnay k liya is ism ka wird kasrat sae kry.

Ya Ghanio (یا غنی)

Zindgi ko khushal krnay k liya is ism ka wird ksrat sae krain.

Ya Mughniu (یا مغنی)

Aik baar parh kar haathon par dam kar kay dard ki jagah par malnay say sukoon milay ga.

Ya Manio, Ya Mutiu (یا مانع، یا معطی)

Biwi naraz ho to shohar aur agar shohar naraz ho to biwi sonay say qabal 20 baar parhay sulah ho jaey gi. (Muddat: Ta husool-e-murad)

Ya Zaru (یاضار)

Jo apni amdani mai barkat chahta ho woh har Shab-e-Jumma aur Ayyam-eBeez (ya’ni har Islami maah ki 13, 14, 15 tareekh) mai 100 baar is ism ko parhay.

Ya Nafiu (یانافع)

Agar koi kisi kaam ko shuru’ karnay say qabal 20 baar parh lay woh kaam us ki marzi kay mutabiq poora hoga.

Ya Nooro (یا نور)

Jo koi 7 martabah Surah Noor aur 1001 baar is ism ko parhay us ka dil roshan ho jaey ga.

Ya Hadiyu (یا ھادی)

Jo koi aasman ki taraf munh kar kay haath utha kar is Ism ko ba-kasrat parhay aur woh haath apnay munh aur aankhon par mal lay. To wo ahl-e-ma’rifat ka martabah paey ga.

Ya Badio (یا بدیع)

Jis kisi ko sakht mu’amalah darpaysh ho 70 hazaar baar parhay kamiyab hoga.

Ya Baqi (یا باقی)

Jo koi sooraj nikalnay say pehlay 100 baar roz parhay kry ga dukh dard sai mahfooz rahay ga.

Ya Wariso (یا وارث)

Jo koi is ism ka wird kasrat sae karay ga us ki ‘umr daraz (ya’ni lambi) hogi.

Ya Rasheedo (یا رشید)

Jo shakhs kisi kaam ki Tadbeer na janta ho woh Maghrib aur Isha kay darmiyan 1000 baar ya ism parhay sahih Tadbeer us kay dil may aa jaey gi.

Ya Saburo (یا صبور)

Jis ko dard ya ranj ya museebat paysh aaey 33 baar parhay sukoon haasil hoga.

Ya Muakhiru (یا مؤخر)

Jo is naam ko kisi namaz kay ba’d 100 baar parhay ga us ka dil Allah Pak ki mahabbat aur us ki yaad may rahay.

Scroll to Top