Sahih Muslim 6229 in Urdu

Abu Hazam nae Hazrat Sahl bin Saad (R.A) sae rawayat ki kaha kae Madina mai Marwan ki aulad mai sae aik shakhs hakim hua. Tou os nae Hazrat Sahl bin Saad (R.A) ko bulaya aur Saidina Ali (R.A) ko gali dainay ka huqam diya.

Hazrat Sahl (R.A) nae aisa krnay sae inkar kiya. Tou wo shakhs bola agar tou gali dainay sae inkar krta haye. Tou kah k Abu Tarab par ALLAH ki lanat ho.

Hazrat Sahl (R.A) nae kaha ke Saidina Ali (R.A) ko Abu Tarab sae zyada koi naam pasand na tha. Aur is naam sae pukarnay walay shakhs sae khosh hotay thay.

Wo shakhs bola k is ka qisa byan kro k un ka naam Abu Tarab kyu howa? Hazrat Sahl (R.A) nae kaha k aik mrtba Rasool ALLAH (S.A.W) Sayyida Fatima (R.A) k ghar Tashrif lai.

Tou Saidina Ali (R.A) ko ghar na paya. Tou Aap (S.A.W) nae pocha teray chacha ka beta kaha haye? Wo Boli k mujh mai aur un mai koch baat hoi aur wo ghusa ho kr chlay gae aur yaha nahi soye.

Rasool ALLAH (S.A.W) ne aik admi sae frmaya daikho wo kaha hai? Wo aya aur bola k Ya Rasool ALLAH (S.A.W)! Wo masjid mai so ra haye. Aap (S.A.W) Ali (r.a) k pass tashrif lae gaye. Wo laitay howay thay.

Aur chadar un k pahlo sae alag hogai thi, aur un k badan sae miti laag gai. Tou Rasool ALLAH (S.A.W) nae mitti pochna shoro ki aur farmanay lagae k aye Abu Tarab uth! aye Abu Tarab uth! (Sahih Muslim – 6229)

Scroll to Top